Mujhe Tum Yaad Karna Aur Mujhko Yaad Aanaa Tum Lyrics - Anil Kapoor | Dilip Kumar | Waheeda Rehman | Lata Mangeshkar | Kishore Kumar
1984
Lyrics
Mujhe tum yaad karna aur mujh ko yaad aana tum
Mai ik din laut aaoongaa yeh mat bhool jana tum
Akeli hogi tum dekho kahin aisa na ho jaaye
Jo ab hothon pe hai musakaan woh musakaan kho jaaye
Zara logon se milna tum zara hansna hansaanaa tum
Mai ik din laut...
Agar ladki tumhein koi mile jo khoobasoorat ho
Tumhari dosti ki shayad usko bhi zaroorat ho
Agar woh paas aaye muskuraye muskurana tum
Magar tum laut ke aaoge yeh mat bhool jana tum