Milne ki rut aayi sakhi ri khilne ki rut aayi song is from and it is sung by and .It stars Jeevan, Shashi Kapoor and Leela Mishra in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
milne ki rut aayi sakhi ri
milne ki rut aayi sakhi ri khilne ki rut aayi
aao aao basant manao jara aao aao basant manao

phul rani phul rani aao khil jao jara muskao jara
ithlao jara itrao jara ithlao jara itrao jara
aao aao basant manao jara aao aao basant manao

apne rasiya ko kaise bulati ho tum
apne rasiya ko kaise bulati ho tum
ruth jaye to ruth jaye to kaise rijhati ho tum
ruth jaye to kaise rijhati ho tum

na kahungi na kahungi kisi se batao jara
na kahungi kisi se batao jara
aao aao basant manao jara aao aao basant manao

ye pawan kya sandesha sunane laga
ye pawan kya sandesha sunane laga
kyu poonam ka chanda lajaane laga
kyu poonam ka chanda lajaane laga

batiya ye batiya hai kya samjhao jara
ye batiya hai kya samjhao jara
aao aao basant manao jara aao aao basant manao

ku ku kare koyaliya kali
ku ku kare koyaliya kali
geet gati hai ya de rahi hai gali
geet gati hai ya de rahi hai gali
jao chupke se ye puch aao jara
aao aao basant manao jara aao aao basant manao

ye lata apne pritam se milne lagi
ye lata apne pritam se milne lagi
lo jhuk jhuk ke jane kya kahne lagi
lo jhuk jhuk ke jane kya kahne lagi
ab tum hi pritam ko bulao jara
ab tum hi pritam ko bulao jara
aao aao basant manao jara aao aao basant manao