Mile Jo Kadi Kadi Ek Zanjeer Bane Lyrics - Kasme Vaade | Amitabh Bachchan | Randhir Kapoor | Sharat Saxena | Mohammad Rafi | Asha Bhosle
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane song is from Kasme Vaade (1978) and it is sung by Mohammad Rafi, Asha Bhosle and Kishore Kumar.It stars Amitabh Bachchan, Randhir Kapoor, Sharat Saxena, Rakhee in leading roles. This song is penned by Gulshan Bawra and composed by R D Burman. It is produced by Ramesh Behl. This song was released on 20 Apr 1978.
Lyrics
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Humsafar banke chalo to suhana hai safar
Jo akela hi rahe use na mile dagar
Haan mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Maar ke man ko jiyein to kya jiye
Zindagi hai muskurane ke liye
Arre maar ke man ko jiyein to kya jiye
Zindagi hai muskurane ke liye
Jo bhi pal beet gaya laut ke aata nahi
Jo bhi hai yahin pe hai sath kuchh jata nahi
Haan mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Chaahe aur kuchh na mujhe yaar de
Yaar tu jee bhar ke mujhe pyar de
Chaahe aur kuchh na mujhe yaar de
Yaar tu jee bhar ke mujhe pyar de
Badi mushkil se bhala yaar milta hai yahan
Koi humraz na ho to hai soona yeh jahan
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Humsafar banke chalo to suhana hai safar
Jo akela hi rahe use na mile dagar
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Jaane ek din yeh kaise ho gaya
Chalte chalte main raahon mein kho gaya
Jaane ek din yeh kaise ho gaya
Chalte chalte main raahon mein kho gaya
Subah ka bhoola hua shaam ghar laut aaye
Use bhoola na kaho yehi hai apni raaye
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Humsafar banke chalo to suhana hai safar
Jo akela hi rahe use na mile dagar
Mile jo kadi kadi ek zanjeer bane
Pyar ke rang bharo zinda tasveer bane
Ho zinda tasveer bane