Maa ko pukarkar pucha bachhe neAaya kahan se ho maa bolo tohPada kaha paya gaya bolo tohSunkar sawal yeh,Maa ke stano se uphal pada dudhAur bah aaya aankho se uttarMere lal tum to hamesha the,Mere mann ki abhilasha meMere tan ki paribhasha me,Bachpan ke gudiyaghar meKitni bar tujhe khelte khelte toda,Todte todte jodaPakar khoya aur khokar paya hai,Kaha se batau tu aaya haiPada tujhe maine kaha paya hai mere lal
Mila tha mann ko mere jab ik tanUpja tha tu hi ik madhur chhand banMila tha mann ko mere jab ik tanUpja tha tu hi ik madhur chhand ban ayeGaat gaat ang ang mehka thaChhan chhanananOs bhari subah se, suhag ke sangit se,Sab ki manuhar seIndradhanushi sapno sa aaya hai,Kaha se batau tu aaya haiPada tujhe maine kahan paya hai mere lalTu ha, tu hi toh hai meri amar aasha,Subah ka sapnaMann aur dadi ki sunahari khwahishPrem ki parampara khwab ki khwahishAur prem ki asha se bani teri kaya haiKaha se batau tu aaya haiPada tujhe maine kaha paya hai mere lal.