Mera ban jaye koi yeh taqdeer nahi mai vo shisa hu ki jisme koi tasveer nahi song is from and it is sung by .It stars Feroz Khan, Kum Kum and Mumtaz Begum in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Naresh Kumar. This song was released on 08 Jan 1965.
mera ban jaye koi ye meri takdir nahi
mera ban jaye koi ye meri takdir nahi
mai wo shisha hu ke jisme koi taswir nahi
mera ban jaye koi ye meri takdir nahi

najre awara dil awara kadam awara
najre awara dil awara kadam awara
jane kab tak mai firunga yuhi mara mara
jo mujhe rok le aisi koi janjir nahi
mai wo shisha hu ke jisme koi taswir nahi
mera ban jaye koi ye meri takdir nahi

kitne afsane nigaho se kahe hai maine kitne afsane
kitne afsane nigaho se kahe hai maine
kitne gam aise hai jo haske sahe hai maine
kitne khwab aise hai jinki koi tabir nahi
mai wo shisha hu ke jisme koi taswir nahi
mera ban jaye koi ye meri takdir nahi

ek se ek hasi meri najar se gujra
ek se ek
ek se ek hasi meri najar se gujra
bijliya tut padi dil pe jidhar se gujra
kya karu mai ke meri aah me tasir nahi
mai wo shisha hu ke jisme koi taswir nahi
mera ban jaye koi ye takdir nahi
mai wo shisha hu ke jisme koi taswir nahi
mera ban jaye koi ye takdir nahi