Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar Lyrics - Aaj Aur Kal | Tanuja | Deven Verma | Ashok Kumar | Asha Bhosle
in Movies
Watch the Video
Song Information
Maut kitni bhi sangdil ho magar song is from Aaj Aur Kal (1963) and it is sung by Asha Bhosle.It stars Tanuja, Deven Verma, Ashok Kumar, Raaj Kumar in leading roles. This song is penned by Sahir Ludhianvi and composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi). It is produced by Vasant Joglekar, Panchadeep Chitra. This song was released on 01 Jan 1963.
Lyrics
Zindagi se to meharban hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi
Nit naye ranj dil ko deti hai
Zindagi har kushi ki dushman hai
Maut sabse nibaah karti hai
Zindagi, zindagi ki dushman hai
Kuchh na kuchh to sakoon paayega
Maut ke bas mein jiski jaan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi
Rang aur nasl naam aur daulat
Zindagi kitne farq maanti hai
Maut had-bandiyon se oonchi hai
Saari duniya ko ek jaanti hai
Jin usoolon pe mar rahe hain hum
Un usoolon ki kadardan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi
Maut se aur kuchh mile na mile
Zindagi se to jaan chhootegi
Muskurahat naseeb ho ke na ho
Ansuon ki ladi to tootegi
Hum na honge to gham kise hoga
Khatm har gham ki daastan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi