Mariz-e-ishq hu aye janeman song is from and it is sung by .It stars Asha Parekh, Biswajeet and Nishi in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by N.C. Sippy. This song was released on 31 Dec 1963.
marij-e-ishq hu aye janeman, meri dua lena
main mar jaau to meri lash ko
dulha bana dena
marij-e-ishq hu aye janeman, meri dua lena

tamanna hain ki mar kar
chhod jau yaadgar apani
tamanna hain ki mar kar
chhod jau yaadgar apani
kisi photographar se
mera photo khincha dena
marij-e-ishq hu aye janeman, meri dua lena

ye hasrat hain ke mit kar bhi
tumhare kaam aau main
ye hasrat hain ke mit kar bhi
tumhare kaam aau main
to tum chaho to
meri khaal ki chappal bana lena
marij-e-ishq hu aye janeman, meri dua lena

kahi aisa na ho
duniya tumhe katil samajh baithe
kahi aisa na ho
duniya tumhe katil samajh baithe
mara hu apani marji se
police ko ye bata dena
marij-e-ishq hu aye janeman, meri dua lena
main mar jaau to meri lash ko
dulha bana dena