Man re tu hi bata kya gau song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by L.V. Prasad. This song was released on 01 Jan 1963.
man re, tu hi bata kya gaaun
tu hi bata kya gaaun
kah dun apane dil ke dukhade
ya aansu pee jaaun
man re, tu hi bata kya gaaun
tu hi bata kya gaaun

jisne barabas baandh liya hai
is pinjare men qaid kiya hai
jisne barabas baandh liya hai
is pinjare men qaid kiya hai
kab tak main us patthar dil ka
ji bahalaati jaaun
tu hi bata kya gaaun
man re, tu hi bata kya gaaun
tu hi bata kya gaaun
kah dun apane dil ke dukhade
ya aansu pee jaaun
man re, tu hi bata kya gaaun

neend men jab ye jag sota hai
main roti hun, dil rota hai
neend men jab ye jag sota hai
main roti hun, dil rota hai
mukh pe jhoothi muskaanon ke
kab tak rang chadhaaun
man re, tu hi bata kya gaaun
kah dun apane dil ke dukhade
ya aansu pee jaaun
man re, tu hi bata kya gaaun
tu hi bata kya gaaun