Man Bahot Anamana Lyrics - Harìharan
in Albums
Watch the Video
Song Information
Man bahot anamana song is from Chand Ke Saath (2009) and it is sung by Harìharan. This song is penned by Jai Shankar Mishra and composed by Sandeep Banerjee. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Man bahot anmana phir udaasi wahin
Man bahot anmana phir udaasi wahin
Jaane kaisi hawaayein chali shaam se
Man ki uljhan kahe, dil ki dhadkan kahe
Aaj usane pukaara mujhe naam se
Man bahot anmana, phir udaasi wahin
Hum samete huye vedana vaksh mein
Hum sanjoye huye preeti man mein teri
Hum samete huye vedana vaksh mein
Hum sanjoye huye preeti man mein teri
Man ka upwan suvaasit teri shwaas se
Nishi mein sapane tere din mein yaadein teri
Man bahot anmana phir udaasi wahin
Shaam se hi hawaao mein kitani tapan
Man mein kaisi tadap tan mein kaisi agan
Shaam se hi hawaao mein kitani tapan
Man mein kaisi tadap tan mein kaisi agan
Chaand taare kahein keh raha hai gagan
Man mein uljhan tere kitani man mein chubhan
Man bahot anmana phir udaasi wahin
Meri rag rag mein priywar samaaye ho tum
Mere geeton ke gunjan mein chhaaye ho tum
Meri rag rag mein priywar samaaye ho tum
Mere geeton ke gunjan mein chhaaye ho tum
Man ki beena hai jhankrut tere raag se
Man mein itani kasak bhar gaye kyun nayan
Man bahot anmana phir udaasi wahin
Jaane kaisi hawaayein chali shaam se
Man ki uljhan kahe, dil ki dhadkan kahe
Aaj usane pukaara mujhe naam se
Man bahot anmana phir udaasi wahin.