Main wo dulhan hoon song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ashok Kumar, Savak Vacha. This song was released on 01 Jan 2018.
Main wo hansi hoon
Lab pe jo aane se rah gayi
Main wo shamaa hoon
Jo kabhi roshan nahin huyi
Hoon wo umang
Nikli jo dil se na ek baar
Hoon wo khushi
Ke gham ne jise
Kar liyaa shikaar


Main wo dulhan hoon
Raas na aayaa jise singaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar
Main wo dulhan hoon
Raas na aayaa jise singaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar


Ghar jal gayaa to
Aag bujhaane se faayda
Ghar jal gayaa to
Aag bujhaane se faayda
Us bewafaa ko
Ab ye jataane se faaydaa
Jataane se faaydaa
Ai mere dil ke chain
Meraa dil hai bekaraar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar


Kashti bhatak rahi hai
Kinaaraa nahin koi
Kashti bhatak rahi hai
Kinaaraa nahin koi
Majboor zindagi kaa
Sahaaraa nahin koi
Sahaaraa nahin koi
Marne kaa intzaar hai
Marne kaa intzaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar
Main wo dulhan hoon
Raas na aayaa jise singaar
Main wo chaman hoon
Jis mein na aayi kabhi bahaar.