main aashiq huuN bahaaron kaa, fizaaon kaa nazaaron kaa Lyrics - Abhi Bhattacharya | Nanda | Raj Kapoor | Mukesh

1962

Lyrics

main aashiq huun bahaaron kaa
fizaaon kaa nazaaron kaa
main mastaanaa musaafir huun
javaan dharatii ke anjaane kinaaron kaa
sadiyon se jag men aataa rahaa main
nae rang jiivan men laataa rahaa main
har ek des men nit nae bhes men
kabhii mainne hans ke diipak jalaae
kabhii ban ke baadal aansuu bahaae
meraa rastaa pyaar kaa rastaa
chalaa gar safar ko koii besahaaraa
to main ho liyaa sang liye ek taaraa
gaataa huaa dukh bhulaataa huaa