Mahafil Se Uth Jaanevaalon, Tum Logon Par Kyaa Ilzaam Lyrics - Dooj Ka Chand | Ashok Kumar | Bharat Bhushan | Chandrashekhar | Mohammed Rafi | Mohammad Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mahafil se uth jaanevaalon, tum logon par kyaa ilzaam song is from Dooj Ka Chand (1964) and it is sung by Mohammed Rafi and Mohammad Rafi.It stars Ashok Kumar, Bharat Bhushan, Chandrashekhar, B. Saroja Devi in leading roles. This song is penned by Sahir Ludhianvi and composed by Roshanlal Nagrath (Roshan). This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
mahafil se uth jaanevaalo, tum logo par kyaa ilzaam
tum aabaad gharo ke basi, mai aavara aur badnaam
mere sathi, mere sathi, mere sathi khaali jaam
mere sathi khaali jaam
do din tum ne pyaar jataya, do din tum se mel raha
achhaa khasaa vaqt kataa, aur achhaa khasaa khel raha
ab us khel kaa jikr hi kaisaa, vakt kataa aur khel tamaam
mere sathi, mere sathi, mere sathi khaali jaam
tum ne dhundhi sukh ki daulat, maine pala gam kaa rog
kaise bantaa kaise nibhataa, ye rishtaa aur ye sajog
maine dil ko dil se tola, tum ne maange pyaar ke daam
mere sathi, mere sathi, mere sathi khaali jaam
tum duniyaa ko behtar samajhe, mai pagal tha khar hua
tum ko apnane niklaa tha, khud se bhi bezaar hua
dekh liyaa ghar funk tamaasha, jaan liyaa apanaa anjaam
mere sathi, mere sathi, mere sathi khaali jaam