Madahosh hava matawali fiza song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by F. C. Mehra. This song was released on 01 Jan 1969.
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai (2)
kar le na kissi se pyaar kahin, dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai

raahi hoon naya anjaan dagar, pyaara hai badaa jeevan ka safar (2)
nikla hoon main apni masti mein, maaloom nahin manzil hai kidhar
yeh badhte hue bechain kadam, aayenge thikana lagta hai
kar le na kissi se pyaar kahin, dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai

oh ho ho ho ho ho ho hey hey hey hey hey hey hey hey

kar le na kissi se pyaar kahin, dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai

pal bhar ko na hum aaraam kare, do haath hazaaron kaam kare (2)
kismat ki shikaayat kya karna, bhagwan ko kyon badnaam kare
ek roz humare haathon se badlega zamana lagta hai
kar le na kissi se pyaar kahin, dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai

jo aag tumhaare dil mein lage uss aag mein mera dil bhi jale ha ha
jo aag tumhaare dil mein lage uss aag mein mera dil bhi jale
dhanwaan ho ya nirdhan ho koyi data ki nazar mein ek hue
insaan se rishta insaan ka iss jag mein puraana lagta hai
kar le na kissi se pyaar kahin, dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza, sansaar suhaana lagta hai