Lab-E-Khamosh Se Lyrics - Jagjit Singh | Chitra Singh | Chitra Singh (Chitra Dutta)

1987

Lyrics

Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe
Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe
Baat karne ko bhi
Tasvir ka lehja chaahe
Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe

Tu chale saath to aahat
Bhi na aaye apni
Tu chale saath to aahat
Bhi na aaye apni
Dar mein aahan bhi na ho
Yun tujhe tanha chaahe
Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe

Khwaab mein roye to
Ehsaas ho sairaabi ka
Khwaab mein roye to
Ehsaas ho sairaabi ka
Ret par soyen magar
Aankh mein dariya chaahe
Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe

Aise tairaaq bhi dekhe
Hain muzaffar humne
Aise tairaaq bhi dekhe
Hain muzaffar humne
Gharq hone ke liye bhi
Jo sahara chaahe
Lab-e-khaamosh se
Izhaar-e-tamanna chaahe.