Kya Karun Kya Karun Lyrics - Raftar | Talat Mahmood | Baby Naaz | Nadira
in Movies
Watch the Video
Song Information
Kya karun kya karun song is from Raftar (1955) and it is sung by Talat Mahmood.It stars Talat Mahmood, Baby Naaz, Nadira, Meenakshi in leading roles. This song is penned by Nakhshab Jarchavi and composed by Shivram Krishna. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Kya karun kya karun
Kya karun sine
Mein huk uthhti hai
Ghabhrata hai dil kya karun
Kya karun sine
Mein huk uthhti hai
Ghabhrata hai dil
Laakh behlata hun
Behlaya nahin jata hai dil
Kya karun
Kin andhere mein ho tum
Is raaz se ho bekhabar
Roshni hoti hai jab
Nazron se milti hai nazar
Nazron se milti hai nazar
Aag lag uthhti hai jis dam
Dil se takrata hai dil
Laakh behlata hun
Behlaya nahin jata hai dil
Kya karun
Haay ik dil ki badaulat
Lut gayi duniya tamaam
Is tabaahi mein tumhara
Kis liye aataa hai naam
Kis liye aataa hai naam
Dil ko tadpaate ho tum
Aur mujhko tadpaataa hai dil
Laakh behlata hun
Behlaya nahin jata hai dil
Kya karun
Kya karun sine
Mein huk uthhi hai
Ghabhrata hai dil
Kya karun.