Khushnuma Lyrics
Lyrics
Tu jo nahi tha, kuch bhi nahi tha
Har rishta tha, sard bada
Bin tere dil mein, ek soona pan tha
seene mein tha, ek dard bhara
Tu jo mila hai, dil ne kaha hai
Mil hi gaya humdard mera
Aankhein nam hui, lamha tham gaya
Mera ishq hua, khushnuma, khushnuma
Khushnuma.. khushnuma..
Main tujhse kuch yun juda
Jaisa main sufi tu khuda
Main tujhse kuch yun juda
Jaisa main sufi tu khuda
Dua mein maanga, tha tujhe
Sajde mein paaya hai tujhe
Khushnuma.. khushnuma..
Yaad hai woh yaadein teri
Woh kasmein woh baatein teri
Yaad hai woh yaadein teri
Woh kasmein woh baatein teri
Milke na hona tu phir juda
Tujhse hai meri iltejaa
Doori na ho darmiyaan
Aankhein nam hui, lamha tham gaya
Mera ishq hua, khushnuma, khushnuma
Khushnuma.. khushnuma..
Tu jo nahi tha, kuch bhi nahi tha
Har rishta tha, sard bada
Bin tere dil mein, ek soona pan tha
Seene mein tha, ek dard bhara
Tu jo mila hai, dil ne kaha hai
Mil hi gaya humdard mera