Kaushalya main teri, tu mera raam song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by P. Mallikharjuna Rao. This song was released on 24 Feb 1989.
la li la li, la li la li
la li la li, la li la li

kaushalya main teri tu mera raam, teri yashoda main tu mera shaam

mera ye tan hai ayodhya teri, mann mera hai vrindavan tera dhaam
kaushalya main teri tu mera raam, teri yashoda main tu mera shaam
la li la li la li la li, la li la li la li la li

baadal se chhalki hai wo bund tu, jo sip me dhalake moti bane
baadal se chhalki hai wo bund tu, jo sip me dhalke moti bane
wo bhor ki pehali laali hai jo, banke kiran jag ki jyoti bane
tujhse mila mujhko jivan naya, jivan ye mera hai ab tere naam
kaushalya main teri tu mera raam, teri yashoda main tu mera shaam
la li la li la li la li, la li la li la li la li

tulasi ka raamayan gaaungi main, meera ke pad gungunaaungi main

vedo purano ki har mantra ko lori banake sunaaungi main
bhule na ye jag kahani teri, hoke bada tu kare aise kaam
kaushalya main teri tu mera raam, teri yashoda main tu mera shaam
la li la li la li la li, la li la li la li la li

mere liye aisa paaras hai tu, chhukar jise main to kanchan huyi
meri tapasya ka phal tu mila, main gangajal jaisi paawan huyi
jalake jalaya wo mann ka diya, jis me jale wo andhere tamaam