Kangna pahena maine song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by A.A. Nadiadwala. This song was released on 10 Apr 1981.
Kangana pahena maine ghunghru wala
Kangana pahena maine ghunghru wala
Are re diya kisi ne lake diya
Maine pahen liya
Chori to nahi ki daka to nahi dala
Chori to nahi ki daka to nahi dala dala
Kangana pahena maine ghunghru wala
Kangana pahena maine ghunghru wala


Payal hai pag mein to kajal tirchi nazar mein
Upar se sone ki ek zanjir kamar mein
Payal hai pag mein to kajal tirchi nazar mein
Upar se sone ki ek zanjir kamar mein
Ab ghunghru bajake zara chand dikhlake
Main aayi to gazab kya kiya
Chori to nahi ki daka to nahi dala
Chori to nahi ki daka to nahi dala dala
Kangana pahena maine ghunghru wala
Kangana pahena maine ghunghru wala


Aisa kya har koi thame kalai meri
Lakho ka mol kare ek angdayi meri
Aisa kya har koi thame kalai meri
Lakho ka mol kare ek angdayi meri
Jag mera matwala maine aisa jadu dala
Jadu dala to sitam kya kiya
Chori to nahi ki daka to nahi dala
Chori to nahi ki daka to nahi dala dala
Kangana pahena maine ghunghru wala
Kangana pahena maine ghunghru wala


Dil mera jisne liya hai wo koi ek chhaila
Albela dikhta hai bhari mehfil mein akela
Dil mera jisne liya hai wo koi ek chhaila
Albela dikhta hai bhari mehfil mein akela
Bana mera hamjoli main bhi kuch nahi boli
Nahi boli to julm kya kiya
Kangana pahena maine ghunghru wala
Kangana pahena maine ghunghru wala
Are re diya kisi ne lake diya
Maine pahen liya
Chori to nahi ki daka to nahi dala
Chori to nahi ki daka to nahi dala dala
Kangana pahena maine ghunghru wala.

More songs from Khoon Aur Paani (1981)