Kaliyon jaisa rang shagufta song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Kaliyon jaisa rang shagufta
Phool jaisi kaaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta
Phool jaisi kaaya hai
Neende ud gayi sab logon ki
Neende ud gayi sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai
Jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta


Usake chehre ki narmi se
Phul javani maange
Usaki roshan aankhon se
Raate bhi kahani maange
Chalane ka andaaj hai woh
Mauje bhi rawaani maange
Sab ki aankhon mein woh rangin
Sapana bankar chhaaya hai
Neende ud gayi sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai
Jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta


Logon ka toh kaam hai yeh
Sholo ko hawa dete hain
Chhoti chhoti baato ka
Afsaana bana dete hain
Woh jis raste se bhee gujare
Usako sada dete hain
Woh ghar se kam hi nikale
Yeh hamne use samjhaaya hai
Neende ud gayi sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai
Jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta


Mere haatho mein hai jaise
Usake haatho ki khushbu
Meri tanhaayi mein jaise
Usaki baato ki khushbu
Mere shero mein hai jaise
Usaki saanso ki khushbu
Usake liye hain ghajale najame
Shayar jisane banaaya hai
Neende ud gayi sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai
Jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta
Phool jaisi kaaya hai
Neende ud gayi sab logon ki
Neende ud gayi sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai
Jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta
Kaliyon jaisa rang shagufta.