Kab tak nirash ki andhiyari song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 31 Aug 1940.
Kab tak nirash ki andhiyari
Kab tak nirash ki
Aas ki damini damka degi
Yehi badariya kaari
Kab tak nirash ki


Sookhe ped ki har daar hai
Ras ki bhari pichkaari
Jaise laaj ka ghoonghat kaade
Koi sundar naari
Aas ki damini damka degi
Yehi badariya kaari
Kab tak nirash ki andhiyari
Kab tak nirash ki


Kajre rain ki bhor ko samjho
Kaare nayan ki jyoti
Kaare nayan ki jyoti, jugnu
Jugnu ban ke chamak rahi hai
Chhupi huyi ujiyaari
Aas ki damini damka degi
Yehi badariyaa kaari
Kab tak nirash ki


Bhai jagat ujiyaari
Bhai jagat ujiyaari
Jhalak thi jiski andhiyaari mein
Yehi thi wo ujiyaari
Dekho bhai jagat ujiyaari
Ban gayi kaajal jaagi aankh ka
Simat ke rain andhiyaari
Bhai jagat ujiyaari


Nainan jal se sincha tha jisko
Hari huyi wo kyaari nainan jal se
Sincha tha jisko
Hari huyi wo kyari
Bigadi banaane waale tu ne
Rakh li laaj hamaari
Dekho bhai jagat ujiyaari
Ban gayi kaajal jaagi aankh ka
Simat ke rain andhiyaari
Bhai jagat ujiyaari.