Jungli Sher (Title) Lyrics - Divine
in Albums
Watch the Video
Song Information
Jungli sher (title) song is from Jungli Sher (2016) and it is sung by Divine.It stars and Divine in leading roles. This song is penned by Divine and composed by Divine, Sez. It is produced by Mothership Productions. This song was released on 24 Mar 2016.
Lyrics
Sunega sher log ki kahani
Sunega kya sher log ki kahani
Sez on the beat
Chal sun le this is my story
Chhota sa main ladka
Chhoti cheezo pe main bhadka
Mere daal mein nahi tha tadka
Ghar pe baap ke roz ka lafda
Dafna mushkilo ko meri maa ke kamai ne
Baap wala role nibhaaya mere bhai ne
Tairna sikha khaai mein
Isiliye shabdo mein gehraai hai
Zindagi toh ek ladai hai
Jo paiso mein samaayi hai
Khoti pateli tumhaari
Peeke liquor wali die hai
Idhar jigar wali die hai
Teri tipper wali die hai
Jo dikhta hai vo bikta hai
Samajhdaar ho toh tikta hai
Paisa ho toh lala shiksha hai
Umid garibo ka rickshaw hai
Jo ameer leke nikla hai
Iss jismo ke samandar mein
Sikander vo jo jeeta hain
Dilo ko beta andar se
Chhutkara paoge jhanjat se
Mehnat aur thodi mannat se
Thakaan aur thodi kismat se
Parwat bhi bante kankad se
Aaram hi hogi jannat mein
Hum pale jaha tu palti le
Iss jungle ki kahani mein
Khiladi mere jungli hai
Khiladi mere jungli hai
I am the voice of the streets
Khiladi mere jungli hai
Till they put me beneath
Iss jungle ki kahani mein
Only truth i will seek
Khiladi mere jungli hai
Khiladi mere jungli hai
I am the voice of the streets
Khiladi mere jungli hai
Till they put me beneath
Iss jungle ki kahani mein
Khiladi mere jungli hai
Upar nikle tere niche se
Baate karte piche se
Beef ki baate garam garam
Saliyo se hum seekh dete
Ajib se the inn kauvo ke
Bich hum cheel se the
Patte vatte peeste the
Paise uspe fees ke the
Bheekh dete gyaan
Tujhe inn galiyo ki
In chhoti khilti pariyo ki
Bhuke sote jo galiyo mein
Un ulti sidhi zariyo ki
Majburi ki un ghadiyo ki
Aansu bhare in nadiyo mein
In nadiyo mein
Toh atak mere kaam ke bich mein
Satak tere kaan ke niche
Patak dunga crowd ke bich mein haa
Toh chamak apne kaam ke reet mein
Jhapakne ke tapakne ke
Sabak lene se accha hai
Falak samajhke chamak dhamak ke
Ramach wamach se vatna hai
Kaamyaabi ke nashe ko chakhna hai
Imaandaari ki seedi se chadhna hai
Durghatna hai
Vo toh bachpan se hi ghat rahi hai
Iss jungle ki kahani mein
Khiladi mere jungli hai kya
Khiladi mere jungli hai
I was raised in the gutter
Khiladi mere jungli hai
Dont play with my money
Iss jungle ki kahani mein
I know what is hunger
Khiladi mere jungli hai
I was raised in the gutter
Khiladi mere jungli hai
Dont play with my money
Iss jungle ki kahani mein
I know what is hunger
Khiladi mere jungli hai
I am the voice of the streets
Khiladi mere jungli hai
Till they put me beneath
Only truth i will seek
Khiladi mere jungli hai.