Jis Din Se Maine Tumako Dekhaa Hai, Is Dil Men Ik Sapanaa Saa Jaagaa Hai Lyrics - Parwana | Lalita Pawar | Yogita Bali | Naveen Nischol | Mohammed Rafi | Asha Bhosle
in Movies
Watch the Video
Song Information
Jis din se maine tumako dekhaa hai, is dil men ik sapanaa saa jaagaa hai song is from Parwana (1971) and it is sung by Mohammed Rafi and Asha Bhosle.It stars Lalita Pawar, Yogita Bali and Naveen Nischol in leading roles. This song is penned by Kaifi Azmi and composed by Madan Mohan. It is produced by Shri Ambika Chitra. This song was released on 15 Jan 1971.
Lyrics
jis din se maine tumko dekhaa hai
is dil me ik sapna saa jaga hai
ijaazat ho to sunaa dun
jis din se maine tumko dekhaa hai
is dil me ik sapna saa jaga hai
ijaazat ho to sunaa dun
is dil ne jabse tumako paayaa hai
kuchh chori-chori maine bhi socha hai
agar ijaazat ho to bataa dun
agar ijaazat ho to bataa dun
shokhi hai nazaqat hai, nazro me sharaarat hai
aisa bhi sharamana kyaa, kah do ki mohabbat hai
kahane ki zarurat kyaa, baato ki haqiqat kya
chhalke na nigaaho se, aisi bhi muhabbat kya
kuchh khoyaa-khoyaa dil bhi rahta hai
kuchh chori-chori maine bhi dekhaa hai
agar ijaazat ho to bataa dun
ijaazat ho to sunaa dun
julfon ko sanwara bhi, chehre ko nikhara bhi
ab to de do jaane jaa baanho ka sahara bhi
masti ka jamana bhi, khushiyon ka khazana bhi
paya jo tumhe paya jeene ka bahana bhi
duniya kitni rangin duniya hai
is dil me ek sapna sa jaga hai
ijaazat ho to sunaa dun
agar ijaazat ho to bataa dun
dil ko naa sambhaalun to, sine se lagaa lun to
hotho ki jo laali hai, usako mai churaa lun to
yun nazare na daalo tum, ab dil ko sambhaalo tum
dekhe na hame duniyaa, sine me chhupaa lo tum
na jaane mujhko dar kyo lagata hai
kuchh chori-chori maine bhi dekhaa hai
agar ijaazat ho to bataa dun
jis din se maine tumko dekhaa hai
is dil me ik sapna saa jaga hai
ijaazat ho to sunaa dun
ijaazat ho to sunaa dun