Jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya song is from and it is sung by .It stars Balraj Sahni, Shyama and Nanda in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by A.V. Meiyappan. This song was released on 01 Jan 2018.
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya

mare pistol se na kate talwar se
mard ko gulam ye banaye bade pyar se
mare pistol se na kate talwar se
mard ko gulam ye banaye bade pyar se
kabhi ikrar se kabhi inkar se
kabhi ikrar se kabhi inkar se
kajre ki dhar se ya balo ke singar se
isiliye kahta hu daro daro nar se
daro daro nar se
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya

ho nahi sakta ye kam bhagwan ka
nushka jarur ye to hoga shaitan ka
ho nahi sakta ye kam bhagwan ka
nushka jarur ye to hoga shaitan ka
char bunde nakhra aath bunde jhagda
char bunde nakhra aath bunde jhagda
jhuth barah bunde solah bunde lafda
wah wah kya banaya tune ragda
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya

chalne me tej jaise sui ghadiyal ki
laye ye nikal kar khabar patal ki
chalne me tej jaise sui ghadiyal ki
laye ye nikal kar khabar patal ki
mithi hai juban ki jhuthi hai jahan ki
dil ki hai khoti to kachi bhi kan ki
kali ho ya gori hai bairi insan ki
bairi insan ki
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya
jawan ho ya budhiya ya nanhi si gudiya
kuch bhi ho aurat jahar ki hai pudiya