Jao Ladli Pati Ke Ghar Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Jao ladli pati ke ghar song is from Stree (1961) and it is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey).It stars Rajaram Vankudre, Sandhya and Mumtaz in leading roles. This song is penned by Bharat Vyas and composed by Chitalkar Ramchandra. It is produced by Rajkamal Kalamandir. This song was released on 01 Jan 1961.
Lyrics
aao bitiya aaj tumhe
ham bhi kuchh sikh sikhaye
ham van wasi fir bhi tumhe
sansari reet bataye
chhod pita ka ghar
jab tum apane pati ke ghar jaao
gurujan maan bade budho ki
sewa me samay bitao
ghar me jo sevak naukar chakar
sneh se sabko bulao
bhagy fale saubhagy mile
to kuchh bhi na garv dikhao
jo ghar me is reet chale
wo sad grihadi pad paye
jo iske vipreet chale
wo kul ko kalank lagaye
jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho
jaao laadli
ashish deta hriday hamara
mangalmay ho marg tumhara
path me mile tumhe taal talaiya
sukhdai shital chhaiya
jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho
jaao laadli
dukh me sukh ka, sukh me dukh ka
dukh me sukh ka, sukh me dukh ka
kaisa khel dikhane lagi
aai thi tum ek hansi ban
aansu ban ab jaane lagi
jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho
jaao laadli
ye vighna ye kaisi ghadi hain
ye vighna ye kaisi ghadi hain
dhiraj dharm dagmagane laga
aaj budhapa age badhkar
yovan ko raah dikhane laga
jaao daadli
pal pal hansane wali o bitiya
pal pal hansane wali o bitiya
jaate huye yu rula na dena
fulo falo tum us ghar me jaake
yaad hamari bhula na dena
jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho
jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho
jaao laadli