Janmo Janam Lyrics - Sanaya Irani | Shivam Bhaargava | Vikram Bhatt | Yasser Desai

2019

About this song

  • 00:00 - Dil Maang Raha Hai
  • 03:10 - Jaltey Bujhtey
  • 06:23 - Rooh Ka Rishta
  • 10:57 - Ye Jo Ho Raha Hai
  • 16:13 - Janmo Janam
  • 21:51 - Mujhe Ishq Sikha Karke
  • 24:29 - Jaltey Bujhtey (Duet)
  • 28:21 - Rooh Ka Rishta By Yasser Desai
  • Song - Dil Maang Raha Hai
  • Composer - Sanjeev Darshan
  • Singer - Yasser Desai
  • Lyricist - Sanjeev Ajay
  • Arrangers / Programmers - Aditya Dev
  • Song - Jaltey Bujhtey
  • Composer - Arko
  • Singer - Aakanksha Sharma
  • Lyricist - Arko
  • Song - Rooh Ka Rishta
  • Composer - Sonal Pradhan
  • Singer - Arko
  • Lyricist - Sonal Pradhan
  • Song - Ye Jo Ho Raha Hai
  • Composer - Vinay Ram Tiwari 
  • Singer - Jyotica Tangri
  • Lyricist - Rashmi Virag
  • Mastering - Donal Whela
  • Guitarist- Rhythm Shaw
  • Strings - Suresh Lalwani
  • Song - Janmo Janam
  • Composer - Nayeem - Shabir
  • Lyricist - Shakeel Azmi
  • Song - Mujhe Ishq Sikha Karke
  • Arrangers / Programmers - Kashi Kashyap And Ajay Keswani
  • Mix Master - Kashi Kashyap
  • Sarangi - Sandeep Mishra,
  • Guitar - Richard Mithra.
  • Song - Jaltey Bujhtey (Duet)
  • Singers - Arko & Aakanksha Sharma
  • Song - Rooh Ka Rishta By Yasser Desai
  • Actors - Sanaya Irani & Shivam Bhaargava
  • Production House - A Vashu Bhagnani Production
  • Producer - Vashu Bhagnani & Vikram Bhatt
  • Director - Vikram Bhatt

Lyrics

Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Paane ki tujhko ki hai humne khata
Ab jo bhi duniya chahe dede saza
Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Paane ki tujhko ki hai humne khata
Ab jo bhi duniya chahe dede saza
Jab bhi likhega tujhe hi likhega
Meri taqdeer mein mera khuda
Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Lafzon ki dharti banzar
Ugte hain kankar pathar
Sachche hain jazbe mere
Jazbon ko dede maali
Aankhon mein padh le aaja
Dhadkan mein sunle aaja
Mehsoos karle jaan
Iss dil ki bezubani
Khamoshi ki palkon par
Har aansu ek kahaani
Khamoshi ki palkon par
Har aansu ek kahaani
Tootenge jab yeh aansu hogi sada
Goonjegi aahon se yeh saari fizaa
Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Tera mera yeh rishta
Hai aasmaan pe likha
Na iska naam koyi
Na iska koyi chehra
Tod ke saare dhaage
Nikle haddon se aage
Deewangi ki khatir
Humne chuna hai sehra
Hum tum behta paani hain
Paani pe kiska pehra
Hum tum behta paani hain
Paani pe kiska pehra
Aazad fitrat apni jaise hawa
Marzi se apni barse jaise ghata
Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Paane ki tujhko ki hai humne khata
Ab jo bhi duniya chahe dede saza
Janmo janam ka tujhse rishta mera
Marke bhi honge na hum tujhse juda
Paane ki tujhko ki hai humne khata
Ab jo bhi duniya chahe dede saza.