Jai jai kaar karo mata ki aao saran bhawani ki ek baar prem se bolo jai durga maha rani ki song is from and it is sung by .It stars Mahipal, Usha Kiran and S N Tripathi in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
jai durga maharani ki

pahli devi shailputri hai kiye bail ki swari
ardhchandar mathe par sohe
sundar rup manohari, sundar rup manohari
liye kamandal phul kamal ke or rudrakhsho ki mala
hui dusri brahamcharini
kare jagat me ujiyala, kare jagat me ujiyala
puran chandarma si nirmal hai, devi chandarghanta mata
inke sumiran se nirbal bhi
bairi par hai jai pata, bairi par hai jai pata
jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
jai durga maharani ki

chothi devi kushmanda hai inki lila hai nyari
amrit bhara kalash hai kar me
kiye bagh ki yeh sawari, kiye bagh ki yeh sawari
kar me kamal singh par aasan
sab ka subh karne wali
mangalmai kandmata hai
jag ka dukh harne wali, jag ka dukh harne wali
muni katyayan ki ye kanya, hai sabki katyani ma
danvta ki shatru or
manwata ki sukhdayini maa, manwata ki sukhdayini maa
jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
jai durga maharani ki

yahi kal ratri devi hai mahaparlay dhane wali
sab prani ke khane wale
kal ko bhi khane wali, kal ko bhi khane wali
swet bail hai wahan jinka , tan par swetambar bhata
yahi maha gori devi hai
sabki jagdamba mata, sabki jagdamba mata
sankh chakkar or gada padam, kar me dharan karne wali
yahi sidhi datri mata hai
ridhi sidhi dene wali, ridhi sidhi dene wali
jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
jai durga maharani ki