Na woh akhiyan roohani kahi Na woh chehra noorani kahi Kahi dil wali baatein bhi na Na woh sajri jawani kahi
Jag ghumeya thaare jaisa na koi Jag ghumeya thaare jaisa na koi
Na toh hasna rumani kahi Na toh khusbu suhani kahi Na woh rangli adaye dekhi Na woh pyaari si nadani kahi Jaisi tu hai waisi rehna
Jag ghoomeya thaare jaisa na koi Jag ghoomeya thaare jaisa na koi (x2)
Baarishon ke mausam ki Bheegi hariyali tu Sardiyon mein gaalon pe Jo aati hai woh laali tu
Raaton ka sukoon.. Raaton ka sukoon bhi hai Subah ki azaan hai Chahaton ki chaadaron mein Maine hai sambhali tu
Kahin agg jaisi jalti hai
Banne barkha ka pani kahi Kabhi mann jaana chupke se Yoon hi apni chalani kahi Jaisi tu hai waisi rehna
Jag ghoomeya thare jaisa na koi Jag ghoomeya thare jaisa na koi
Apne naseebon mein ya Honsle ki baaton mein Sukhon aur dukhon wali Saari saugaton mein
Sang tujhe rakhna hai Sang tujhe rakhna hai Tune sang rehna Meri duniya mein bhi Mere jazbaton mein
Teri milti nishani kahi Jo hai sab ko dikhani kahi Tu toh jaanti hai marke bhi Mujhe aati hai nibhani kahi Wo hi karna jo hai kehna
Jag ghoomeya thaare jaisa na koi Jag ghoomeya thaare jaisa na koi (x2)