Jaan bujh kar song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. The music of this song is composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
jaan bujh kar
jaan bujh kar main deewani
kyun ho jaaun na baba
pyaar mohabbat ka main dil me
rog lagaun na baba
jaan bujh kar main deewani
kyun ho jaaun na baba

toba toba main na karungi
pyaar kisi deewane se
dil ko jalaun nain lagake
kyun main kisi anjaane se
kyun main kisi anjaane se
baithe bithae
baithe bithae apne mann ka
chain gawaun na baba
jaan bujh kar main deewani
kyun ho jaaun na baba

dil ko lagaun jaan se jaaun
kyun main aise kaam karun
saare nagar me sabki nazar me
khud ko main badnaam karun
khud ko main badnaam karun
apne hi hatho
apne hi hatho apne ghar me
aag lagaun na baba
pyaar mohabbat ka main dil me
rog lagaun na baba
jaan bujh kar main deewani
kyun ho jaaun na baba