Ja ja re ja deewane ja song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Ja ja re ja deewane ja
Ja ja re ja deewane ja
Maine jo chaaha tujh ko
Apna banaaya tujh ko
Is pe akadta hai kya
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja ri ja deewani ja
Maine ehsaan kiya
Dil jo qurbaan kiya
Badh badh ke baaten na bana
Ja ja re ja deewane ja
Ja ja re ja deewane ja


Bura hai mera ghussa
Jawaani ki qasam
Main shola ban ke
Tujh ko jala doongi balam
Hai bheja mera thanda
Nahin hai mujhe gham
Main paani ban ke
Tujh ko bujha doon ga sanam
Itna ghuroor na kar
Mujh ko majboor na kar
Warna chakha doon gi maza
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja re ja deewane ja
Jaa jaa re jaa deewaane jaa


Main ban ke machhariya c
Hhupoon gi jal mein
Na aayun gi bedardi
Main tere bal mein
Laga ke main bhi
Dori mein kaanta dil ka
Phansa hi loon ga
Tujh ko bas ik pal mein
Na kar takraar mujh se
Dekhe hain laakhon tujh se
Apni tu shaikhi na jata
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja re ja deewane ja


Bade hi zehreele yeh
Naina hain mere
Main naagan ban ke
Das loongi chhed na mujhe
Bade hi zehreele
Yeh naina hain mere
Main naagan ban ke
Das loongi chhed na mujhe
Banegi jo tu naagan to
Main bhi meri jaan
Sapera ban ke
Kar loonga bas mein tujhe
O dil ke chor saiyan
Yun na marod baiyan
Dil le ke aise na sata
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja ri ja deewani ja
Maine ehsaan kiya
Dil jo qurbaan kiya
Badh badh ke baatein na bana.