Ik Bagal Me Chand Hoga, Ik Bagal Me Rotiya Lyrics - Piyush Mishra
in Movies
Watch the Video
Song Information
Ik bagal me chand hoga, ik bagal me rotiya song is from Gangs Of Wasseypur (2012) and it is sung by Piyush Mishra.It stars Jaideep Ahlawat, Manoj Bajpai and Nawazuddin Siddiqui in leading roles. This song is penned by Piyush Mishra and composed by Piyush Mishra. It is produced by Anurag Kashyap, Sunil Bohra. This song was released on 29 Jun 2012.
Lyrics
ek bagal me chand hoga, ek bagal me rotiya
ek bagal me chand hoga, ek bagal me rotiya
ek bagal me neend hogi, ek bagal me loriya
hum chand pe, hum chand pe
roti ki chadar daal ke so jayenge
aur neend se, aur neend se keh denge
lori kal sunane aayenge
aur neend se, aur neend se keh denge
lori kal sunane aayenge
ek bagal me chand hoga, ek bagal me rotiya
ek bagal me neend hogi, ek bagal me loriya
hum chand pe, hum chand pe,
roti ki chadar daal ke so jayenge
aur neend se, aur neend se keh denge
lori kal sunane aayenge
aur neend se, aur neend se keh denge
lori kal sunane aayenge
ek bagal me khankhanati seepiya ho jayengi
ek bagal me kuch rulati siskiya ho jayengi
hum seepiyo me, hum seepiyo me bhar ke sare
taare chhu ke aayenge
aur siskiyo ko, aur siskiyo ko
gudgudi kar kar ke yu bahlayenge
aur siskiyon ko, gudgudi kar kar ke yu bahlayenge
hum andheri, siskiyo pe
koi rone aayega, koi rone aayega
hum nagar jo aayega wo
phir kabhi na jaayega
wo phir kabhi na jayega
yaad rakh par koi anhoni nahi tu layegi
layegi to phir kahani aur kuch ho jayegi
yaad rakh par koi anhoni nahi tu layegi
layegi to phir kahani aur kuch ho jayegi
honi aur anhoni ki parwah kise hai meri ja
had se jyada yahi hoga, ke yahi mar jayenge
hum maut ko, hum maut ko sapna bata kar
uth khade honge yahi
aur honi ko, aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge
aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge
aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge
aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge
aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge
aur honi ko thenga dikha kar
khilkhila ke jayenge