LyricsTashan

O Ri Duniya Lyrics - Gulaal | Kay Kay Menon | Piyush Mishra | Deepak Dobriyal

in Movies

Watch the Video

Song Information

O ri duniya song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Raj Singh Chaudhary, Anurag Kashyap. This song was released on 13 Mar 2009.

Lyrics

O ri duniya o ri duniya
Aye duniya
Aye surmayee aankhein ke pyaalo ki duniya
O duniya
Surmayee aankhein ke pyaalo ki duniya
O duniya
Satrangi rango gulalo ki duniya o duniya
Satrangi rango gulalo ki duniya o duniya


Alsaayi sejo ke phoolon ki duniya
O duniya re
Angdaayi tode kabootar ki duniya
O duniya re
Aye karwat le soyi haqeeqat ki duniya
O duniya
Deewani hoti tabiyat ki duniya
O duniya


Khwahish mein lipti zaroorat ki duniya
O duniya re
Hey insaan ke sapno ki niyat ki duniya
O duniya
O ri duniya
O ri duniya
O ri duniya
O ri duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai


Mamta ki bikhri kahani ki duniya
O duniya
Behno ki siski jawani ki duniya
O duniya
Aadam ke hawaas rishte ki duniya
O duniya re
Hey shayar ke pheenke labzo ki duniya
O duniya
O ho ho oo
Gaalib ke maumin ke khawabo ki duniya
Majazo ke un inqalabo ki duniya
Gaalib ke maumin ke khawabo ki duniya
Majazo ke un inqalabo ki duniya
Faize firako sahir umakhdum
Meel ki zoku kitabo ki duniya


Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai


Palchin mein baaten chali jaati hai hai
Palchin mein baaten chali jaati hai hai


Reh jaata hai jo sawera wo dhoondhe
Jalta makaan mein basera wo dhoondhe


Jaisi bachi hai waisi ki waisi,
Bacha lo yeh duniya
Apna samajh ke apno ki
Jaisi utha lo yeh duniya


Chitput si baaton mein jalne lagegi,
Sambhalo yeh duniya
Katpit ke raaton mein palne lagegi,
Sambhalo yeh duniya


O ri duniya
O ri duniya
Wo kahen hai ki duniya
Yeh itni nahi hai sitaaro se
Aage jahan aur bhi hai


Yeh hum hi nahi hai
Wahan aur bhi hai
Hamari hare k baat hoti wahin hai
Hume aitraaz nahi hai kahin bhi
Wo aayi zamil pe sahi hai


Magar falsafa yeh bigad jaata hai jo
Wo kehte hai aalim
Yeh kehta wahan ishwar hai
Faazil yeh kehta wahan allah hai
Kabur yeh kehta wahan issa hai
Manzil yeh kehti tab insaan se ki
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya
Yeh ujde hue chand baasi charago
Tumhare yeh kale iraado ki duniya
O ri duniya o ri duniya
O ri duniya.

Related Songs

More songs from Gulaal (2009)
More songs of Kay Kay Menon
More songs of Piyush Mishra
More songs of Deepak Dobriyal