Hum dekhenge, hum dekhenge, Lazim hai ke hum bhi dekhenge, Hum dekhenge, hum dekhenge,Wo din ke jis ka vaada hai, Jo lauh-e-azal mein likha hai, hum dekhengeHum bhi dekhenge, hum bhi dekhenge Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan Rooyi ki tarah ud jayenge, hum dekhengeHum mehkumon ke paon tale, Ye dharti dhar dhar dharkegi,
Aur ahl-e-hakam ke sar oopar, Jab bijli kar kar karkegi,Hum dekhenge. Hum dekhenge. Bas naam rahega allah ka, Jo gayab bhi hai hazir bhi, Jo manzar bhi hai nazir bhi,Utthega an-al-haq ka nara, Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho, Aur raaj karegi khalq-e-khuda, Jo main bhi hoon aur tum bhi ho,Hum dekhenge. Hum dekhenge.