Hum Bewafa Hargiz Na The Lyrics - Sanam Puri

2018

Lyrics

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar na sakhe
Humko mili uski sazaa
Hum jo khata kar na sakhe

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar na sakhe

Kitni akeli thi woh raahe hum jinpe
Ab takk akele chalte rahein
Tujhse bichadke bhi o bekhabar
Tere hi gham mein jalte rahein

Tune kiya jo shikva
Hum woh gila kar na sakhe
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar na sakhe

Tumne jo dekha suna sach tha magar
Kitna tha sach yeh kisko pataa
Jaane tumhe maine koi dhokha diya
Jaane tumhe koi dhokha hua

Is pyar mein sach jhooth ka
Tum faisla kar na sakhe

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar na sakhe