Kabhi kabhi lage yehi Jo hona tha hua wahi Badalna bhi hawaaon ka Hai zaroori
Kabhi kabhi lage yehi Jo milna tha mila wahi Bikharna bhi duaon ka Hai zaroori
Kisi ke waaste kahan Zameen pe aaya aasmaan Yeh dooriyan rahi bas dooriyan
Ke chori chori chupke se chupke se rona Hai zaroori Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona Hai zaroori
Reh gayi aarzoo ik adhuri Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona Hai zaroori
Nasamajh thhe hum Jo yeh bhi na samjhe Waqt aane par Sab badalte hain
Manzilein kya hain Aur raaste kya hain Log pal bhar mein
Yahaan Rabb badalte hain
Kisi ke vaaste kahaan Kinaare aaye kashtiyan Yeh dooriyan rahi bas dooriyan
Ke chori chori chupke se chupke se rona Hai zaroori Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona Hai zaroori
Reh gayi aarzoo ik adhuri Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona Hai zaroori
Muskurane ke kitne bahane thhe Phir bhi aankhon ne Kyu nami chhun li
Dil ki baatein toh Sab aasmaani thi Hum hi pagal thhe Iss dil ki jo sunli
Kisi ke vaaste kahan Mili hai raat se subah Ke dooriyan rahi bas dooriyan
Ke chori chori chupke se chupke se rona Hai zaroori Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona Hai zaroori
Reh gayi aarzu ik adhuri Ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona Hai zaroori