Dusro Ka Dukhda Door Karnewale Lyrics - Dusshera | Kavi Pradeep | Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Dusro ka dukhda door karnewale song is from Dusshera (1956) and it is sung by Kavi Pradeep and Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep). This song is penned by Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep) and composed by N Datta. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
dusro ka dukhda dur karne wale
tere dukh dur karenge ram
dusro ka dukhda dur karne wale
tere dukh dur karenge ram
kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam
tere dukh dur karenge ram
sat ka hai path ye, dharam ka marg
sambhal sambhal chalna prani
pag pag par hai, yaha re kasauti
kadam kadam par kurbani
magar tu dawadol na hona
teri sab peer harenge ram
dusro ka dukhda dur karne wale
tere dukh dur karenge ram
kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam
tere dukh dur karenge ram
kya tune paya, kya tune khoya
kya tera labh hai, kya hani
iska hisab karega wo ishwar
tu kyu fikar kare re prani
tu bas apna kaam kiye ja
tera bhandar bharenge ram
dusro ka dukhda dur karne wale
tere dukh dur karenge ram
kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam
tere dukh dur karenge ram
ponchh le tu apne aansu tamam
tere dukh dur karenge ram
tere dukh dur karenge ram
kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam
tere dukh dur karenge ram
ponchh le tu apne aansu tamam
tere dukh dur karenge ram