Duniya Na Maane, Ho Sakata Hai Kaanton Se Bhi Phool Ki Khushbu Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Duniya na maane, ho sakata hai kaanton se bhi phool ki khushbu song is from Duniya Na Mane (1959) and it is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey).It stars Pradeep Kumar, Mala Sinha and Master Bhagwan in leading roles. This song is penned by Rajinder Krishan and composed by Madan Mohan. It is produced by K. Aggarwal, M.M. Rehni. This song was released on 25 Jun 1959.
Lyrics
jab tum jag me aaye the
jag hansmukh tum roye
aisi karni kar chalo
tum hansmukh jag roye
aa na mane
ho sakta hai kaanto se bhi phul ki khushbu aaye
duniya na mane, duniya na mane
ho sakta hai sagar bhi mitha pani ban jaye
duniya na mane, duniya na mane
ye duniya chand lakire khenche aur chalti jaye
na mane kabhi kisi ki
bas apni hi manwaye
ho sakta baat pate ki pagal bhi kah jaye
duniya na mane, duniya na mane
girte ko sabne dekha par kisne diya sahara
chamke to tara mane aur tute to angara
ho sakta hai angara ek din shabnam ban jaye
duniya na mane, duniya na mane
ho sakta hai kaanto se bhi phul ki khushbu aaye
duniya na mane, duniya na mane
ho sakta hai sagar bhi mitha pani ban jaye
duniya na mane, duniya na mane