Door kahin koi rota hai,Tan par pehra, bhatak raha man,Saathi hai kaival sunapan,Bichud gaya kya savajan kisi ka,Krandan sada karun hota hai,Door kahin koi rota hai,Janam divas par hum ithalate,Kyu na maran tyohaar manate,Aantim yatra ke avsar par,Aasu ka aashkun hota hai,Door kahin koi rota hai,
Aantar roye, aakh na roye,Dhul jayege savapan sanjoye,Chalna bhare vishwa mein,Keval spana hi to sach hota hai,Door kahin koi rota hai,Is jeevan se mrityu bhali hai,Aatankit jab gali gali hai,Main bhi rota aaspaas jab,Koi kahi nahi hota hai,Door kahin koi rota haiDoor kahin koi rota hai.