Dil thandi hawa me ha ha ha uda jaye song is from and it is sung by and .It stars Mehtab, Chanda Bai and Sadat Ali in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Sohrab Modi. This song was released on 01 Jan 2018.
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye haye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye

dhimi dhimi khusbu ha ha ha mahki mahki hawa hai
mahki mahki fiza hai, tumhari kasam ha ha ha
tumhari kasam tum bin ye kamsin fiza hai
phulo ka hasna na dil ko suhave kaata sa chuba jaye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye

koyal ki kuku, koyal ki kuku piya piya bole
koyal ki kuku piya piya bole
huk uthe mere man me ha mora manwa dole
huk uthe mere man me ha mora manwa dole
meri dunia me halchal machaye
koyaliya jab gaye, piya ki yad aaye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye

sunti nahi jab chandani rate
sunti nahi jab chandani rate
chanda se karti hu do do bate
chanda se karti hu do do bate
chanda re teri chandani piya ki yad dilaye
ho chanda re teri chandani piya ki yad dilaye
har sitare me pee najar aaye
har sitare me pee najar aaye
aankho me hai samaye, piya ki yad aaye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye
dil thandi hawa me ha ha ha ha uda jaye piya ki yad aaye
piya ki yad aaye