dil kii duniyaa basaa ke saaNvariyaa Lyrics - Dev Anand | Padmini | Vyjayantimaala | Lata Mangeshkar
1958
Lyrics
(dil kii duniyaa basaa ke saanvariyaa)-2
tum na jaane kahaan kho gaye, kho gaye
saath rahanaa thaa saarii umariyaa
duur naazaron se kyon ho gaye, ho gaye
jaane vaale
(jaane vaale, pataa teraa main ne
aatii jaatii bahaaron se puuchhaa)-2
(chup rahe jab zamiin ke nazaare
aasamaan ke sitaaron se puuchhaa)-2
(sun ke baadal bhii merii kahaanii)-2
bebasii par merii ro gaye, ro gaye
dil kii duniyaa
hans rahaa hai
(hans rahaa hai ye zaalim zamaanaa
apanii khushiyon kii mahafil sajaaye)-2
(main akelii magar ro rahii huun
terii yaadon ko dil se lagaaye)-2
(bahate bahate ye aansuu bhii haare)-2
aake palakon pe so gaye,so gaye
dil kii duniyaa
tum na jaane kahaan kho gaye, kho gaye
saath rahanaa thaa saarii umariyaa
duur naazaron se kyon ho gaye, ho gaye
jaane vaale
(jaane vaale, pataa teraa main ne
aatii jaatii bahaaron se puuchhaa)-2
(chup rahe jab zamiin ke nazaare
aasamaan ke sitaaron se puuchhaa)-2
(sun ke baadal bhii merii kahaanii)-2
bebasii par merii ro gaye, ro gaye
dil kii duniyaa
hans rahaa hai
(hans rahaa hai ye zaalim zamaanaa
apanii khushiyon kii mahafil sajaaye)-2
(main akelii magar ro rahii huun
terii yaadon ko dil se lagaaye)-2
(bahate bahate ye aansuu bhii haare)-2
aake palakon pe so gaye,so gaye
dil kii duniyaa