Der se aanaa jaldi jaanaa ai saahab ye thik nahin song is from and it is sung by and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ashok Ghai, Subhash Ghai. This song was released on 01 Jan 2018.
der se aana jaldi jaana ai saahab ye thik nahi
der se aana jaldi jaana ai saahab ye thik nahi
der se aana jaldi jaana ai saahab ye thik nahi
roj banana ek bahana chahne vaalo ko tadapaana
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi

khaali haath mai kya aata isliye der se aaya hu
khaali haath mai kya aata isliye der se aaya hu
jhumke kangan gajra paayal kitni chize laaya hu
baato se dil ko behlaana chahne vaalo ko tadapaana
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi

pyar kiya tha jab hamne tab tum kitne achchhe the
ab tum kitne jhuthe ho pehle kitne sachche the
bhul gaye tum pyar purana chahne vaalo ko tadapaana
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi

shikva aur shikaayat hai aadat aap hasino ki
chhutti le kar aauga mai agali baar mahino ki
jaane do mujhko hai jaana sarkaari naukar ko sataana
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi

phir aisa tum mat karna varna mai nahi bolugi
khidki se dekhugi tamasha darwaza nahi kholugi
ho jaaunga mai diwana chahne vaalo ko tadapaana
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi
der se aana jaldi jaana ai saahab ye thik nahi
ai saahab ye thik nahi, ai saahab ye thik nahi