Churaa le naa tumako ye mausam suhaanaa song is from and it is sung by and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by B L Rawal. This song was released on 01 Jan 2018.
churaa le naa tumko ye mausam suhaana
khuli vaadiyo me akeli na jaana
lubhaataa hai mujhko ye mausam suhaana
main jaaungi tum mere pichhe na aana

lipat jaayega koi bebaak jhokaa
javaani ki rau me naa aanchal udana
mere vaaste tum paresha na hona
mujhe khub aata hai daman bachana
mujhe khub aata hai daman bachana
main jaaungi tum mere pichhe na aana
churaa le naa tumko ye mausam suhaana
khuli vaadiyo me akeli na jaana

ghata bhi kabhi chum leti hai chehara
samajh soch kar rukh se zulfe hatana
ghata mere nazdik aakar to dekhe
in aankho ne sikha hai bijli girana
in aankho ne sikha hai bijli girana
main jaaungi tum mere pichhe na aana
churaa le naa tumko ye mausam suhaana
khuli vaadiyo me akeli na jaana

main jaaungi tum mere pichhe na aana
churaa le naa tumko ye mausam suhaana
khuli vaadiyo me akeli na jaana