Chitthi aayi hai aayi haiChitthi aayi haiChitthi aayi hai vatan seChitthi aayi haiBade dinon ke baad,Hum bevatnon ko yaadVatan ki mitti aayi hai,Chitthi aayi hai …Upar mera naam likha hai,Andar ye paigham likha haiO pardes ko jaane vaale,Laut ke phir na aane vaaleSaat samundar paar gaya tu,Humko zinda maar gaya tuKhoon ke rishte todh gaya tu,Aankh mein aansooChhodh gaya tuKum khaate hainKum sote hain,Bahut zyaadaHum rote hainChitthi aayi hai …Sooni ho gaeen shehar ki galiyaan,
Kaante ban gaeen baag ki kaliyaanKehte hain saawan ke jhule,Bhool gaya tu hum nahin bhooleTere bin jab aayi diwali,Deep nahin dil jale hain khaaliTere bin jab aayi holi,Pichkaari se chhooti goliPeepal soona panghat soonaGhar shamshaan kaBana namoonaFasal kati aayi baisakhi,Tera aana reh gaya baakiChitthi aai hai …Pehle jab tu khat likhta thaKaagaz mein chehra dikhta thaBund hua yeh mel bhi ab to,Khatam hua yeh khel bhi ab toDoli mein jab baithi behna,Rasta dekh rahe the nainaMaein to baap hoon mera kya hai,Teri maan ka haal bura haiTeri biwi karti hai seva,Soorat se lagti hai bewaToone paisa bahut kamaaya,Is paise ne desh chhudaayaPanchhi pinjra todh ke aaja.