chhoD musaafir maayaa nagar Lyrics - Saigal | non-film | Pankaj Mullick

2018

Lyrics

chhod musaafir maayaa nagar
ab prem nagar ko jaanaa hai
is duniyaa kii safar badii hai
jiivan kaa na thikaanaa hai
ab prem nagar ko jaanaa hai
(aalam saaraa jaa rahaa hai
teraa din bhii aa rahaa hai) - 2
(prem kaa saudaa kar le musaafir
piichhe nahiin pachhataanaa hai) -2
prem nagar ko jaanaa hai
(putra potaa ko_ii na apanaa
ko_ii na apanaa ko_ii na apanaa) -2
(maayaa rath kaa jhuuthaa sapanaa) - 2
dekh musaafir kadam kadam par
jag kaa dand chukaanaa hai
ab prem nagar ko jaanaa hai