Chale Ho Kahaan Sarkaar Lyrics - Naache Nagin Baje Been | Lata Mangeshkar | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Chale ho kahaan sarkaar song is from Naache Nagin Baje Been (1960) and it is sung by Lata Mangeshkar and Mohammed Rafi.It stars Chandrashekhar, Kumkum and K N Singh in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by Chitragupt. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
chale ho kahan sarkar hame bekarar kar ke
chale ho kahan sarkar hame bekarar kar ke
hamari khushi koi roke hai kyon taqarar kar ke
hamari khushi koi roke hai kyon taqarar kar ke
kuch to batao udaye liye jati hai kiski lagan
kuch to batao udaye liye jati hai kiski lagan
jane meri payal ki jane mere naina
ya jane mera man
magar kuch hamse bhi kaho to sahi
hamari khushi koi roke hai kyu taqarar kar ke
chale ho kahan sarkar hame bekarar kar ke
khud kare chori upar se munh zori ada hai kiski
khud kare chori upar se munh zori ada hai kiski
mat ulajhana hamare pichhe aana khata hai kiski
hami se hui galati ji suno to sahi
hamari khushi koi roke hai kyon taqarar kar ke
chale ho kahan sarkar hame bekarar kar ke
hamari khushi koi roke hai kyon taqarar kar ke