Baharo ki ranginiyo ko chura kar song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by K.C. Bokadia. This song was released on 30 Jan 1986.
Baharo ki ranginiyo ko chura kar
Wo kaliyo ki muskan hotho pe lekar
Sitaro se wo mang apni saza kar
Wo aayegi ek din mere pas chalkar
Wahi hain wahi meri justazoo
Tasveer jiski aankho mein hain
Baharo ki ranginiyo ko chura kar
Wo kaliyo ki muskan hotho pe lekar
Sitaro se wo mang apni saza kar
Wo aayegi ek din mere pas chalkar


Jhil ke jaisi gehari wo aankhe
Madira ke chhalke pyale ho jinme
Kamar hogi uski aisi ke jaise
Koi lachakti phoolo ki dali
Koi lachakti phoolo ki dali
Kati dor lehraye jaise hawa
Par jo mushkil se hatho
Me aaye sitamgar
Wo aayegi ek din
Mere pas chalkar
Wahi hain wahi meri justazoo
Tasveer jiski aankho mein hain
Baharo ki ranginiyo ko chura kar


Reshmi zulfe rato se kali
Gulabo ki surkhi hotho ki lali
Chandan si bahe jannat ki rahe
Ubharta wo sina dilo ki tabahi
Ubharta wo sina dilo ki tabahi
Wo aayegi aayegi magrur dilbar
Sitaro ki duniya se ek din zami par
Wo aayegi ek din mere pas chalkar
Wahi hain wahi meri justazoo
Tasveer jiski aankho mein hain
Baharo ki ranginiyo ko chura kar


Zama karke in husn ki khubhiyo ko
Banegi wo mere khayalo ki mallika
Jo aankho mein lekar nasha halka halka
Jo simat jayegi meri baho mein aakar
Simat jayegi meri baho mein aakar
Meri duniya rakh degi jannat banakar
Wo kaliyo ki muskan hotho pe lekar
Sitaro se wo mang apni saza kar
Wo aayegi ek din mere pas chalkar


O tu hi hain tu meri justazoo
Tasveer jiski aankho mein hain
Tu hi hain tu meri justazoo
Tasveer jiski aankho mein hain.