LyricsTashan

Badi Tadap Hai Mohabbat Lyrics - Miss Chalbaaz | Helen | K.N. Singh | Manju | Ismail Azad Qawwal

in Movies

Watch the Video

Song Information

Badi tadap hai mohabbat song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1961.

Lyrics

Badi tadap hai mohabbat
Ki bezubaani mein
Ke dil e garib ko maut
Aa gayi jawaani mein
Bewafaa tune
Bewafaa tune qayaamat
Ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai
Bewafaa tune qayaamat
Ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai


Kaun kehta hai tere
Dil mein wafadari hai
Tu jahannam se udaayi
Huyi chingaari hai
Tere jalwon mein mohabbat
Ka ujaala hi nahi
Haaye ab koyi tera
Chahane wala hi nahi
Lut gayi aabru ulfat
Ki to ulfat kaisi
Jab tere pyaar mein
Dhokha hai to chaahat kaisi
Waqt ne mujhse tujhe
Teri kasam chhin liya
Bewafaaon ne mohabbat
Ka bharam chhin liya
Is tarah husn ko
Badnaam kiya hai tune ae
Har jagah pyaar ka nilaam
Kiya hai tune ki teri taqdir
Teri taqdir mein shohrat
Nahi ruswaayi hai
Bewafaa tune qayaamat
Ki ada paayi hai
Bewafaa tune qayamat
Ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai


Jo bura hai wohi duniya
Ko bura kehta hai
Jis mein gairat hai
Wo har haal mein chup
Rehta hai kaun kehta aa
Kaun kehta hai ki tu
Husn ka shaidaayi hai
Teri baaton mein mohabbat
Nahi ruswaayi hai
Main jo shirin ki adaaon
Ko zara yaad karun
Tu to kya hai jise chaahun
Use barbaad karun
Daaman e dil ko mohabbat
Ke asar se bhar dun
Sirf majnu nahi laila
Ko bhi majnu kar dun
Parda e husn se jo
Pyaar ka shola nikley
Thokare khaata hua
Kabr se ranjha nikley
Maine dam bhar mein
Farishton ka bharam tod diya
Shaayaron ne mujhe
Dekha to kalam tod diya
Baat aati nahi to
Baat banana sikho
Tir barsana hai to
Pehle nishaana sikho
Thhodi ulfat bhi zaruri
Hai adaawat ke liye
Ke saadgi chaahiye izhaar e
Shikaayat ke liye ye shikaayat
Ye shikaayat nahi
Badnaami hai ruswaayi hai
Kaun kehta hai ki tu
Husn ka shaidaayi hai


Bewafaa tune bewafaa
Tune qayaamat ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai
Bewafaa tune qayamat
Ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai


Maine maana mera dushman
Hai har ek naaz tera
Phir bhi ulfat mein ye
Daawa hai pari naaz mera
Chaandni shab ko gham e
Hijr se mailaa kardun
Tu to kya main jise
Chaahun use laila kardun
Jalwaa e husn bhi ek
Shola e baatil nikla
Hum masihaa jise
Samjhe the wo qaatil nikla
Husn rota hai ki ab
Chahane waale na rahe
Dil tadapta hai mohabbat
Ke ujaale na rahe
Jab ye aalam hai to kya
Ishq ka izhaar kare
Ke bewafaa tu hi bata kaise
Tujhe pyaar kare
Ke sara aalam
Sara aalam teri surat
Ka tamaashaayi hai
Bewafaa tune qayaamat
Ki ada paayi hai
Bewafaa tune qayaamat
Ki ada paayi hai
Ek main hi nahi duniya
Teri shaidaayi hai


Kahaan kya pyaar ka
Inaam humen dete hain
Zulm khud karte hai
Ilzaam hamen dete hain
Kaun kehta hai ki jalwon
Mein ujaala hi nahi
Sach to ye hai ki koi
Dekhne wala hi nahi
Aankh mein raushni
Hoti to nazaara karte
Is tarah tir andhere
Mein na maara karte
Husn ki roshni
Badnaam nahi hoti hai
Pyaar wo shai hai jo
Nilaam nahi hoti hai
Gaur kar gaur ke ulfat
Ka gunahgaar hai tu
Waqt ke haath mein chalti
Huyi talwaar hai tu teri chaahat
Teri chaahat ne bhi
Dushman ki ada paayi hai
Kaun kehta hai ki tu
Husn ka shaidaayi hai


Pyaar karne ka abhi tujh
Mein tariqaa hi nahi
Bewafaa tujh ko mohabbat
Ka saliqaa hi nahi
Teri baaton mein shikaayat
Ke siwaa kuchh bhi nahi
Tere andaaz mein nafrat
Ke siwaa kuchh bhi nahi
Apni izzat ka koyi
Paas nahi hai tujh ko
Apni gairat ka bhi
Ehsaas nahi hai tujh ko
Ishq ke naam ko mitti
Mein milaaya tune
Husn ka naam zamaane
Mein ganwaaya tune
Aashiqi jis jagah bikti
Hai wo bazaar hai tu
Ek tuti huyi paazeb ki
Jhankaar hai tu aisi baaton
Aisi baaton se to hum
Dono ki ruswaayi hai
Phir na kehna mera
Mehboob bhi harjaayi hai
Aisi baaton se to hum
Dono ki ruswaayi hai
Phir na kehna mera
Mehboob bhi harjaayi hai.

Related Songs

More songs from Miss Chalbaaz (1961)
More songs of Helen
More songs of K.N. Singh
More songs of Manju
More songs of Ismail Azad Qawwal