baabul kaa ye ghar gorii, bas kuchh din kaa Thikaanaa hai Lyrics - Shammi Kapoor | Tanvi Azmi | Arjun | Kishore Kumar | Alka Yagnik
1989
Lyrics
baabul kaa ye ghar gorii
bas kuchh din kaa thikaanaa hai
dulhan banake tujhe
piyaa ghar jaanaa hai
baapuu tere aangan kii
main to khilatii kalii huun
is aangan ko chhod kyon
kisii aur kaa ghar sajaanaa hai
betii baabul ke ghar men
kisii aur kii amaanat hai
dastuur ye duniyaa kaa
ham sab ko nibhaanaa hai
dastuur ye duniyaa kaa
ham sab ko nibhaanaa hai
maiyaa tere aanchal kii
main to ek gudiyaa huun
phir kyon is aanchal ko chhod
teraa ghar bhii begaanaa hai
## (mother in tears and unable to speak anything) ##
## (this is the most emotional verse i think) ##
maan ke dil pe kyaa guzare
bahanaa tuu ye mat puuchh
kaleje ke tukade ko
ro ro kar bhulanaa hai
bhaiyaa tere baag kii
main kaisii chidiyaa re
raat bhar kaa baseraa hai
subah ud jaanaa hai
bahanaa tere bachapan kii
yaaden ham sab ko sataayengii
phir bhii terii dolii ko
kaandhaa to lagaanaa hai