Angdai per angadi leti hai raat song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Angdai par angdai leti hai raat judai ki
Angdai par angdai leti hai raat judai ki
Tum kya samjho tum kya jaano
Baat meri tanhaayi ki


Kaun siyahi ghol raha tha
Waqt ke behte dariya mein
Waqt ke behte dariya mein
Maine aankh jhuki dekhi
Hai aaj kisi harji ki
Tum kya samjho tum kya jaano
Baat meri tanhaayi ki


Wasl ki raat na jaane kyoon
Israar tha unko jaane par
Israar tha unko jaane par
Waqt se pehle dhoob gaye
Taaron ne badi daanai ki
Tum kya samjho tum kya jaano
Baat meri tanhaayi ki


Udte udte aas ka panchi door
Ufaq mein doob gaya
Ufaq mein doob gaya
Rote rote baith gayee awaaz
Kisi saudaai ki
Tum kya samjho tum kya jaano
Baat meri tanhaayi ki.