Agar teri jalwa numai na hoti, khuda ki kasam ye song is from and it is sung by and .It stars Sunil Dutt, Jamuna and Saroja Devi B. in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by L.V. Prasad. This song was released on 01 Jan 2018.
agar teri jalwa numai na hoti
agar teri jalwa numai na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti
agar teri jalwa numai na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti
agar aankh tumse milayi na hoti
meri jindagi muskurayi na hoti
agar aankh tumse milayi na hoti
meri jindagi muskurayi na hoti

baharo ka mausam na hota suhana
baharo ka mausam na hota suhana
tere dam kadam se hua aashikana
tere dam kadam se hua aashikana
najaro me ye dilrubai na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti
agar aankh tumse milayi na hoti
meri jindagi muskurayi na hoti

tere pyar ne mujh par ahsaa kiya hai
tere pyar ne mujh par ahsaa kiya hai
mere dil liya hai mujhe dil diya hai
mere dil liya hai mujhe dil diya hai
agar tune ulfat nibhayi na hoti
meri jindagi muskurayi na hoti
agar teri jalwa numai na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti

agar noor tera na aata jaha me
agar noor tera na aata jaha me
to rakha hi kya tha jami aasma me
to rakha hi kya tha jami aasma me
ke malik ne dunia banayi na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti
agar aankh tumse milayi na hoti
meri jindagi muskurayi na hoti
agar teri jalwa numai na hoti
khuda ki kasam ye khudayi na hoti