Chaandi ki aankhein Bhaari si hain Raat andheri haari si hai (x2)
Maan bhi ja tehar zara Sawera koi door hai kya
Bas ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Bas raat guzarne wali hai
Dard dard andhera zakhm si chaandni Ghul jaayegi, dhoop mein Sard hathon ka ghera Shehar ki berukhi kho jayegi gunj mein
Parindon ki azaane Gungunati raah bhi
Kehti hai ankhein choom ke
Bas ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Bas raat guzarne vali hai
Meri suno toh aankhein moondo Khud mein hi dhoondo naya ik nazariya
Khauf mein tumne chupa rakha hain Apne bheetar noor ka dariya Behne do usse wo dho dega Deewar jo mann ki kaali hain
Ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Ab raat guzarne wali hai Bas raat guzarne wali hai